Aaj ham janege ki share market aakhir kya hai jisase hamare des ki aarthik stithi ka pata chalta hai .
Share market se ham kisi bhi des ki gdp ko dekh sakte hai .
Hamare des india me share market ko oprate do exchange karti hai
1. NSE(National stock exchange)
2. BSE(Bombay stock exchange )
Share market janane se pahle mai aapko batana chahta hu ki aakhir sabhi badi compny share market me kyu list ki jati hai .
Jab bhi kisi compny ke pas ak bade ammount ki jarurat padti hai to vo share market me list hone aati hai is prakriya ko ham IPO kahte hai
(Initial public offer) matlab ki public ko offer kiya jata hai ki aap is compny ke share kharid ke aap is compny ke kuchh persent ke parterner ho sakte hai .
Share market ak bahut hi risk bhara hai yaha kuchh bhi invest karne se pahle aapko technical analysis aur fundamental analysis jarur kare .
Agar aap kisi bhi stock me invest karna chahte hai to aap in bato ka dhyan jarur dijiye.
1. DEBT
2. ROE
3. Past growth data
4. Technical analysis
5. Fundamental analysis
6. Whats product is make
7. Demand of product
8. Turn over
9. Capital of compny
10. Future plan
Jab bhi aap koi stock buy karnr jaye tab aap in 10 bato ka jarur dhyan de bina analysis ke aapka paisa dub bhi sakta hai kyuki share market bahut hi risky hai bina apne financial advisor ke invest na kare .
Share market ko achhe se samjhne ke liye aap kisi achhe course ka sahara le sakte hai kyuki hame lagta hai ki ham bahut kuchh jante haj magar ham kuchh nhi jante hai isiliye aapko jitna knowledge mile usko lete rahna hai.
Kabhi bhi tips ke upar aapko invest nhi karna hai.
Jab bhi aap koi share buy karte hai to usko ak locker me rakha jata hai jaise hamare bank ka paisa kisi bhi bank me ho magar hai to rbi ka hi usi tarah jab bhi ham share buy karte hai to vo broker ke pas nhi rahta hai share ko locker me rakha jata hai jise do institute rakhte hai
1. CDSL
2. NSDL
Jab bhi aap koi share buy karte hai to aapko ak tpin milta hai ye tpin aapke share ko sell karte samay two step verification ki tarah kam karta hai ye pin aapko kisi ke sath share nhi karna hai
0 Comments