Passport banwane se pahle hame ye janana hoga ki passport kya hai aur hame iski jarurat kyu padti hai .
Passport kya hai ?
Passport hamare liye ak id ki tarah kam karta hai jaise hamara aadhar card hamari id hai usi tarah magar aadhar card only india tak hi valid hai agar hame india se bahar jana ho to hame jarurat padti hai international id ki jo hamara passport is kam ko achhi tarah se karta hai .
Passport me hamare travel ki details hoti hai ki ham kitni bar india se bahar gaye hai .
Passport hote hue bhi visa kyu ?
Visa hamare liye utna hi jaruri hai jitna ki passport hai . Visa ak tarah ka agreement hota hai jisase hame ak permission milti hai ki ham is desh me kitne din tak rah sakte hai .
Jaise ki koi kiraye ka flat lene ke liye hame court se ak agreement lena padta hai usi tarah visa bhi yhi kam karta hai agar visa expire ho jaye aur aap us desh se vapas nhi aate to aap musibat me pad sakte hai isiliye visa expire hone se pahle aap visa ko renewal jarur kara le.
Passport banane ke liye kya document chahiye ?
Passport banane ke liye hame pahle bahut se document lagte the lekin ab ye document bahut hi kam ho gaye hai agar aapke pass ak aadhar card aur 10th ki marksheet hai to aap passport ke liye apply kar sakte hai .
Passport apply karne ke liye aapko passport seva ki website par jakar apply karna hoga agar aapko nhi pata hai ki kis tarah apply karte hai to mai aapka form aaply kar duga aap mujhe comment karke bat kar lena mai aapko guide kar duga .
1. Identify proof
2.address proof
3. D.O.B Proof
Bas aapko ye 3 documents chahiye jo ki aapka aadhar card sab me chal jayega
Passport apply karne ke bad kya karna hoga ?
Passport apply karne ke bad aapko ak receiving milegi usme aapka appointment ki date aur time likha hoga jise leke aapko passport office jana hoga .
Aapko ak bat ka dhyan rakhna hoga ki aapko sabhi documents ke xerox jarur le lena hai aur passport size photo bhi sath me lena hai jab aap passport office me pahuchege to aapko sabse pahle first counter par jana hai vaha par aapka document dekha jayega aur aapka appointment receipt dekha jayega uske bad aapko ak token number milega jisko le kar aapko apne number aane tak wait karna hoga uske bad aap ko counter no. 2 par bheja jayega .
Jaha par aapko apne sabhi documents ko dena hai aur aapke sabhi documents ko scan kiya jayega aapka fingerprint liya jayega aur aapka photo liye jayega jo aapke passport par print hoga sab process hone ke bad aapko
Counter no. 3 par jana hoga jaha par aapke education documents aur criminal background chek kiya jata hai jab sab document clear ho jata hai to aapko apne document leke aapko counter no.4 par jana hai uske bad aapko ak granted order diya jayega .
Jisko leke aapko ghar aa jana hai fir uske bad aapka jo bhi police station hoga vaha par aapko verification ke liye bulaya jayega aur aapko criminal background ko check karke aapse singnature leke us documents ko passport office bhej diya jata hai .
Jab aapka verification complete ho jata hai to aapke passport ko kuchh din me dispatch kar diya jayega .
Agar hamari ye post aapko pasand aayi ho to meri is post ko ak comment likh aur bhi jyada khubsurat bana sakte hai .
0 Comments